jo dil pe tir tumhaari ada ke baiThe hain
jo dil pe tiir tumhārī adā ke baiThe haiñ
vo goyā ban ke farishte qazā ke baiThe haiñ
jo mai-kade meñ ye mai-ḳhvār aa ke baiThe haiñ
na be-ġharaz ke na be-mudda.ā ke baiThe haiñ
sanam-kade hue ma.amūr haq-parastoñ se
butoñ kī yaad meñ bande ḳhudā ke baiThe haiñ
ye sochte haiñ ki haath aa.e koī tarz-e-sitam
hamārī fikr meñ vo sar jhukā ke baiThe haiñ
jahāñ meñ jalva-faroshī hai aap ko manzūr
isī liye to sar-e-bām aa ke baiThe haiñ
yahī to tālib-e-dīdār kī tamannā thī
naqāb aap jo ruḳh se uThā ke baiThe haiñ
lagī na kam ho pas-e-marg bhī ye matlab hai
vo sham.a merī lahad par jalā ke baiThe haiñ
ham apne aap ko ai charḳh misl-e-naqsh-e-qadam
kisī kī rāh-e-talab meñ miTā ke baiThe haiñ
firāq-e-yār meñ kuchh aisī nā-umīdī hai
ki apnī ziist se ham haath uThā ke baiThe haiñ
hamārā un kā usī din to faisla hogā
ham intizār meñ roz-e-jazā ke baiThe haiñ
janāb-e-shaiḳh bhī hañgām-e-mai-kashī 'hāmid'
adab se mahfil-e-rindāñ meñ aa ke baiThe haiñ
jo dil pe tir tumhaari ada ke baiThe hain
wo goya ban ke farishte qaza ke baiThe hain
jo mai-kade mein ye mai-KHwar aa ke baiThe hain
na be-gharaz ke na be-muddaa ke baiThe hain
sanam-kade hue mamur haq-paraston se
buton ki yaad mein bande KHuda ke baiThe hain
ye sochte hain ki hath aae koi tarz-e-sitam
hamari fikr mein wo sar jhuka ke baiThe hain
jahan mein jalwa-faroshi hai aap ko manzur
isi liye to sar-e-baam aa ke baiThe hain
yahi to talib-e-didar ki tamanna thi
naqab aap jo ruKH se uTha ke baiThe hain
lagi na kam ho pas-e-marg bhi ye matlab hai
wo shama meri lahad par jala ke baiThe hain
hum apne aap ko ai charKH misl-e-naqsh-e-qadam
kisi ki rah-e-talab mein miTa ke baiThe hain
firaq-e-yar mein kuchh aisi na-umidi hai
ki apni zist se hum hath uTha ke baiThe hain
hamara un ka usi din to faisla hoga
hum intizar mein roz-e-jaza ke baiThe hain
janab-e-shaiKH bhi hangam-e-mai-kashi 'hamid'
adab se mahfil-e-rindan mein aa ke baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.