jo dil se nikle usi baat ko baja samjho
jo dil se nikle usi baat ko baja samjho
Ustad Vajahat Husain Khan
MORE BYUstad Vajahat Husain Khan
jo dil se nikle usī baat ko bajā samjho
zabān-e-ḳhalq ko naqqāra-e-ḳhudā samjho
jo sirf baat kare aur 'amal meñ korā ho
tum aise shaḳhs ke kirdār ko riyā samjho
fareb aise na do silsile baḌhā ke mujhe
mire ḳhulūs mire pyaar ko zarā samjho
jahān-e-fānī meñ har chiiz hai zavāl-pazīr
fanā baqā ko yahāñ marzi-e-ḳhudā samjho
tum us ko laakh mohabbat se bhī ho samjhāte
jo apnā ḳhair na chāhe use burā samjho
tumheñ najāt jo miltī rahī har aafat se
tumhāre saath hai māñ-bāp kī du'ā samjho
tumhāre fan ko jo 'azmat milī hai ai 'dā.em'
hai rab kī ḳhaas 'ināyat ise 'atā samjho
jo dil se nikle usi baat ko baja samjho
zaban-e-KHalq ko naqqara-e-KHuda samjho
jo sirf baat kare aur 'amal mein kora ho
tum aise shaKHs ke kirdar ko riya samjho
fareb aise na do silsile baDha ke mujhe
mere KHulus mere pyar ko zara samjho
jahan-e-fani mein har chiz hai zawal-pazir
fana baqa ko yahan marzi-e-KHuda samjho
tum us ko lakh mohabbat se bhi ho samjhate
jo apna KHair na chahe use bura samjho
tumhein najat jo milti rahi har aafat se
tumhaare sath hai man-bap ki du'a samjho
tumhaare fan ko jo 'azmat mili hai ai 'daem'
hai rab ki KHas 'inayat ise 'ata samjho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.