jo din Dhala to ajab bebasi ka manzar tha
jo din Dhalā to ajab bebasī kā manzar thā
bahut se dhaḌ the dhaḌoñ par kahīñ kahīñ sar thā
ajab maqām pe sab chhoḌ kar hue ruḳhsat
koī na thā mirī zad par maiñ sab kī zad par thā
maiñ ret ret jo bikhrā to ho gayā tahlīl
simaT ke ḳhud meñ jo phailā to ik samundar thā
huī sabhī se baġhal-gīr maslahat merī
kisī kisī se milā vo jo mere andar thā
qadam uThā ke chalī zindagī vahī thī mirī
jo thak ke baiTh gayā vo mirā muqaddar thā
javāb kyoñ nahīñ dete khañDar khañDar manzar
ye merā shahr thā is meñ kahīñ mirā ghar thā
jo din Dhala to ajab bebasi ka manzar tha
bahut se dhaD the dhaDon par kahin kahin sar tha
ajab maqam pe sab chhoD kar hue ruKHsat
koi na tha meri zad par main sab ki zad par tha
main ret ret jo bikhra to ho gaya tahlil
simaT ke KHud mein jo phaila to ek samundar tha
hui sabhi se baghal-gir maslahat meri
kisi kisi se mila wo jo mere andar tha
qadam uTha ke chali zindagi wahi thi meri
jo thak ke baiTh gaya wo mera muqaddar tha
jawab kyon nahin dete khanDar khanDar manzar
ye mera shahr tha is mein kahin mera ghar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.