jo dukhi ko dukhi samajhte hain
jo dukhī ko dukhī samajhte haiñ
ham unheñ aadmī samajhte haiñ
haq ko taslīm kar ke saath na de
ham use buzdilī samajhte haiñ
pyaar iḳhlās ko mohabbat ko
log saudāgarī samajhte haiñ
ham haiñ vābasta-e-habīb-e-ḳhudā
is ko ḳhush-qismatī samajhte haiñ
kāmyābī unhīñ ko miltī hai
vo jo apnī kamī samajhte haiñ
hausla-mand haiñ 'sadā' vo log
jo ġhamoñ ko ḳhushī samajhte haiñ
jo dukhi ko dukhi samajhte hain
hum unhen aadmi samajhte hain
haq ko taslim kar ke sath na de
hum use buzdili samajhte hain
pyar iKHlas ko mohabbat ko
log saudagari samajhte hain
hum hain wabasta-e-habib-e-KHuda
is ko KHush-qismati samajhte hain
kaamyabi unhin ko milti hai
wo jo apni kami samajhte hain
hausla-mand hain 'sada' wo log
jo ghamon ko KHushi samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.