jo duniya ki tabahi chahte hain
jo duniyā kī tabāhī chāhte haiñ
ham un se ḳhair-ḳhvāhī chāhte haiñ
jo mujrim haiñ hamāre vo hamīñ se
subūt-e-be-gunāhī chāhte haiñ
gavāhī chāhe jhūTī ho ki sachchī
yahāñ munsif gavāhī chāhte haiñ
hameñ ye raat ab khalne lagī hai
payām-e-sub.h-gāhī chāhte haiñ
unheñ kyā dīda-var likkhūñ maiñ 'sāqī'
jo dām-e-kam-nigāhī chāhte haiñ
jo duniya ki tabahi chahte hain
hum un se KHair-KHwahi chahte hain
jo mujrim hain hamare wo hamin se
subut-e-be-gunahi chahte hain
gawahi chahe jhuTi ho ki sachchi
yahan munsif gawahi chahte hain
hamein ye raat ab khalne lagi hai
payam-e-subh-gahi chahte hain
unhen kya dida-war likkhun main 'saqi'
jo dam-e-kam-nigahi chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.