jo dushman hai use yun bhi saza hum log dete hain
jo dushman hai use yuuñ bhī sazā ham log dete haiñ
vo jab jab zaḳhm detā hai du'ā ham log dete haiñ
hamārī raah meñ kāñTe bichhānā jis kā sheva hai
vo miltā hai to phūloñ kī qabā ham log dete haiñ
hamārī raah kāñToñ se bharī hai soch kar aao
zamāne ko badalne kī sadā ham log dete haiñ
khilā de ek din aa kar ye murjhā.e hue chehre
tujhe āvāz ai bād-e-sabā ham log dete haiñ
yuuñ hī aatī nahīñ maqtal meñ pas-manzar kī tābānī
lahū se apne har manzar khilā ham log dete haiñ
hamāre ḳhuun ko itnā bhī arzāñ mat samajh duniyā
tire hāthoñ pe ye rang-e-hinā ham log dete haiñ
in āñkhoñ meñ agar thoḌī sī bhī bīnā.ī baaqī ho
to apnī shakl dekho aa.ina ham log dete haiñ
'na'īm' apne lahū kī chīḳh suntā hī nahīñ koī
na jaane kis bayābāñ meñ sadā ham log dete hiiñ
jo dushman hai use yun bhi saza hum log dete hain
wo jab jab zaKHm deta hai du'a hum log dete hain
hamari rah mein kanTe bichhana jis ka shewa hai
wo milta hai to phulon ki qaba hum log dete hain
hamari rah kanTon se bhari hai soch kar aao
zamane ko badalne ki sada hum log dete hain
khila de ek din aa kar ye murjhae hue chehre
tujhe aawaz ai baad-e-saba hum log dete hain
yun hi aati nahin maqtal mein pas-manzar ki tabani
lahu se apne har manzar khila hum log dete hain
hamare KHun ko itna bhi arzan mat samajh duniya
tere hathon pe ye rang-e-hina hum log dete hain
in aankhon mein agar thoDi si bhi binai baqi ho
to apni shakl dekho aaina hum log dete hain
'na'im' apne lahu ki chiKH sunta hi nahin koi
na jaane kis bayaban mein sada hum log dete hin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.