Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo Duba tha wahi suraj ubharne ke liye hai

Ameer Imam

jo Duba tha wahi suraj ubharne ke liye hai

Ameer Imam

MORE BYAmeer Imam

    jo Duubā thā vahī sūraj ubharne ke liye hai

    ye duniyā har qadam hairān karne ke liye hai

    agar hai shauq uḌne to jaao āsmāñ meñ

    zamīñ vaalo zamīñ to paañv dharne ke liye hai

    hifāzat karte karte shāḳh se gir jaa.e har gul

    magar ḳhushbū havāoñ meñ bikharne ke liye hai

    ye jo ik rang baaqī hai mirī āñkhoñ meñ ab tak

    na jaane kaun se ḳhvāboñ meñ bharne ke liye hai

    mirī tanhā.ī meñ aao aur apne 'aks dekho

    ye ā.īna tumhāre sañvarne ke liye hai

    kabhī manzil huā kartā thā roz ik rāste

    jo dil ab rāsta hai aur guzarne ke liye hai

    jo Duba tha wahi suraj ubharne ke liye hai

    ye duniya har qadam hairan karne ke liye hai

    agar hai shauq uDne ka to jao aasman mein

    zamin walo zamin to panw dharne ke liye hai

    hifazat karte karte shaKH se gir jae har gul

    magar KHushbu hawaon mein bikharne ke liye hai

    ye jo ek rang baqi hai meri aankhon mein ab tak

    na jaane kaun se KHwabon mein bharne ke liye hai

    meri tanhai mein aao aur apne 'aks dekho

    ye aaina tumhaare hi sanwarne ke liye hai

    kabhi manzil hua karta tha roz ek raste ki

    jo dil ab rasta hai aur guzarne ke liye hai

    Source :
    • Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 110)
    • Author : Ameer Imam
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now