jo dusron ke ishaaron pe chalte rahte hain
jo dūsroñ ke ishāroñ pe chalte rahte haiñ
vo 'umr bhar kaf-e-afsos malte rahte haiñ
jo tund-o-tez havāoñ meñ jalte rahte haiñ
vahī charāġh añdheroñ ko khalte rahte haiñ
ye jāntā huuñ mirī dastaras meñ kuchh bhī nahīñ
magar vo ḳhvāb jo āñkhoñ meñ palte rahte haiñ
tum apnī chhat pe sar-e-shām yuuñ na aaya karo
tamām raat sitāre machalte rahte haiñ
kisī kī āñkhoñ meñ hotī hai zindagī kī chamak
kisī kī aañkh se chashme ubalte rahte haiñ
ḳhayāl karte nahīñ ham kabhī masāfat kā
husūl-e-manzil-e-maqsad meñ chalte rahte haiñ
laboñ pe apne tabassum to maiñ sajā lūñgā
magar jo āñkhoñ se aañsū nikalte rahte haiñ
zarā batāo to kis kis ko maat doge 'shakīl'
bisāt-e-vaqt pe mohre badalte rahte haiñ
jo dusron ke ishaaron pe chalte rahte hain
wo 'umr bhar kaf-e-afsos malte rahte hain
jo tund-o-tez hawaon mein jalte rahte hain
wahi charagh andheron ko khalte rahte hain
ye jaanta hun meri dastaras mein kuchh bhi nahin
magar wo KHwab jo aankhon mein palte rahte hain
tum apni chhat pe sar-e-sham yun na aaya karo
tamam raat sitare machalte rahte hain
kisi ki aankhon mein hoti hai zindagi ki chamak
kisi ki aankh se chashme ubalte rahte hain
KHayal karte nahin hum kabhi masafat ka
husul-e-manzil-e-maqsad mein chalte rahte hain
labon pe apne tabassum to main saja lunga
magar jo aankhon se aansu nikalte rahte hain
zara batao to kis kis ko mat doge 'shakil'
bisat-e-waqt pe mohre badalte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.