jo ek pal bhi sukun ka kabhi kabhi mil jae
jo ek pal bhī sukūñ kā kabhī kabhī mil jaa.e
to phir balā se hamesha kī bekalī mil jaa.e
ḳhudā gavāh tabassum kā ek lamha bahut
tamām 'umr meñ jis ko bhī jab kabhī mil jaa.e
jo ḳhanda-zan haiñ ġharīboñ kī tīra-baḳhtī par
unheñ hamāre muqaddar kī tīrgī mil jaa.e
safar ke baa'd bhī zauq-e-safar tamām na ho
qadam ko ‘ishrat-e-manzil hazār bhī mil jaa.e
qubūl zahmat-e-yak-gām bhī nahīñ jin ko
vo chāhte haiñ zamāne kī har ḳhushī mil jaa.e
hazār saal se do din kī zindagī behtar
agar kisī ko salīqe kī zindagī mil jaa.e
kahāñ kahāñ se na guzre ye soch kar 'afzal'
koī ḳhushī kahīñ shāyad girī-paḌī mil jaa.e
jo ek pal bhi sukun ka kabhi kabhi mil jae
to phir bala se hamesha ki bekali mil jae
KHuda gawah tabassum ka ek lamha bahut
tamam 'umr mein jis ko bhi jab kabhi mil jae
jo KHanda-zan hain gharibon ki tira-baKHti par
unhen hamare muqaddar ki tirgi mil jae
safar ke ba'd bhi zauq-e-safar tamam na ho
qadam ko ‘ishrat-e-manzil hazar bhi mil jae
qubul zahmat-e-yak-gam bhi nahin jin ko
wo chahte hain zamane ki har KHushi mil jae
hazar sal se do din ki zindagi behtar
agar kisi ko saliqe ki zindagi mil jae
kahan kahan se na guzre ye soch kar 'afzal'
koi KHushi kahin shayad giri-paDi mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.