jo ek pal ko bujhe bazm-e-rang-o-bu ke charagh
jo ek pal ko bujhe bazm-e-rañg-o-bū ke charāġh
to ham ne daar pe raushan kiye lahū ke charāġh
havā-e-tīra-nasab kyā bujhā sakegī unheñ
ki āñdhiy.oñ meñ bhī jalte haiñ aarzū ke charāġh
adā-e-mausam-e-gul kā kamāl kyā kahiye
kalī kalī se farozāñ hue numū ke charāġh
bujhī jo sub.h to sīnoñ meñ dil jalā.e ga.e
huī jo shaam to raushan hue subū ke charāġh
ye naqsh-e-pā haiñ mire yā savād-e-manzil tak
qadam qadam pe numāyāñ haiñ justujū ke charāġh
kabhī kabhī to 'ziyā' vo bhī vaqt aatā hai
bujhāne paḌte haiñ ḳhud apnī aarzū ke charāġh
jo ek pal ko bujhe bazm-e-rang-o-bu ke charagh
to hum ne dar pe raushan kiye lahu ke charagh
hawa-e-tira-nasab kya bujha sakegi unhen
ki aandhiyon mein bhi jalte hain aarzu ke charagh
ada-e-mausam-e-gul ka kamal kya kahiye
kali kali se farozan hue numu ke charagh
bujhi jo subh to sinon mein dil jalae gae
hui jo sham to raushan hue subu ke charagh
ye naqsh-e-pa hain mere ya sawad-e-manzil tak
qadam qadam pe numayan hain justuju ke charagh
kabhi kabhi to 'ziya' wo bhi waqt aata hai
bujhane paDte hain KHud apni aarzu ke charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.