jo fasla hai main usko miTa ke dekhunga
jo fāsla hai maiñ us ko miTā ke dekhūñgā
maiñ us ke chehre se parda haTā ke dekhūñgā
vo apne husn mirī aarzū ke zo.am meñ hai
maiñ us ke but ko kisī din girā ke dekhūñgā
vo taḳht chhoḌ ke apnā zarūr aa.egā
maiñ āsmān ko sar pe uThā ke dekhūñgā
mire firāq meñ us kā bhī haal mujh sā hai
maiñ aap jā ke yā us ko bulā ke dekhūñgā
zamāna dekhegā ik hashr aaj botal meñ
maiñ ab sharāb meñ aañsū milā ke dekhūñgā
misāl-e-mūsā mirī aañkh meñ hai ḳhū-e-jamāl
meñ jā ke tuur pe ḳhud ko jalā ke dekhūñgā
rukegā kaun ġharībī meñ mere saath 'razā'
charāġh-e-ḳhema-e-dil ko bujhā ke dekhūñgā
jo fasla hai main us ko miTa ke dekhunga
main us ke chehre se parda haTa ke dekhunga
wo apne husn meri aarzu ke zoam mein hai
main us ke but ko kisi din gira ke dekhunga
wo taKHt chhoD ke apna zarur aaega
main aasman ko sar pe uTha ke dekhunga
mere firaq mein us ka bhi haal mujh sa hai
main aap ja ke ya us ko bula ke dekhunga
zamana dekhega ek hashr aaj botal mein
main ab sharab mein aansu mila ke dekhunga
misal-e-musa meri aankh mein hai KHu-e-jamal
mein ja ke tur pe KHud ko jala ke dekhunga
rukega kaun gharibi mein mere sath 'raza'
charagh-e-KHema-e-dil ko bujha ke dekhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.