jo faqiri mein mir hote hain
jo faqīrī meñ 'mīr' hote haiñ
kitne raushan-zamīr hote haiñ
dard jab tak davā na ho jaa.e
qais majnūñ na hiir hote haiñ
aql se bhī kabhī kabhī dil ke
faisle nā-guzīr hote haiñ
sirf kirdār kī tajallī se
dil nasīhat-pazīr hote haiñ
apnā ḳhud ehtisāb kar rakhnā
log munkir-nakīr hote haiñ
karb kitnā hai jāniye sāhab
ashk dil ke safīr hote haiñ
jab koī aasrā nahīñ hotā
hausle dastgīr hote haiñ
yaad hai vo nahīñ vafā-pesha
log phir bhī asiir hote haiñ
un ke adnā ġhulām bhī 'bazmī'
rashk-e-shāh-o-vazīr hote haiñ
jo faqiri mein 'mir' hote hain
kitne raushan-zamir hote hain
dard jab tak dawa na ho jae
qais majnun na hir hote hain
aql se bhi kabhi kabhi dil ke
faisle na-guzir hote hain
sirf kirdar ki tajalli se
dil nasihat-pazir hote hain
apna KHud ehtisab kar rakhna
log munkir-nakir hote hain
karb kitna hai jaaniye sahab
ashk dil ke safir hote hain
jab koi aasra nahin hota
hausle dastgir hote hain
yaad hai wo nahin wafa-pesha
log phir bhi asir hote hain
un ke adna ghulam bhi 'bazmi'
rashk-e-shah-o-wazir hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.