jo galiyon mein ghubare bechte hain
jo galiyoñ meñ ġhubāre bechte haiñ
bharam apne vo saare bechte haiñ
ticket de kar siyāhat kī jagah par
vo qudrat ke nazāre bechte haiñ
nashe kī shakl meñ kuchh log zālim
yahāñ vaqtī sahāre bechte haiñ
hamesha fā.ede kā naam de kar
ye tājir kyoñ ḳhasāre bechte haiñ
haiñ kuchh aise bhī jo ġhurbat se Dar kar
yahāñ āñkhoñ ke taare bechte haiñ
baḌe sab ḳhvāb ik roTī ke badle
lo ham saare ke saare bechte haiñ
ajī ye sirf sochoñ kī dukāñ hai
yahāñ sāmāñ udhāre bechte haiñ
hai jin kā husn sho’la-bār yaañ par
vo logoñ meñ sharāre bechte haiñ
sunā hai ham ne raddī kī dukāñ par
vo apne shāh-pāre bechte haiñ
vo jin kī guftugū hai shahd jaisī
vo sāñpoñ ke piTāre bechte haiñ
sunā hai āj-kal baiThe haiñ fāriġh
jo logoñ meñ shumāre bechte haiñ
kahāñ pahle kabhī hotā thā aisā
ki ab to istiḳhāre bechte haiñ
jo galiyon mein ghubare bechte hain
bharam apne wo sare bechte hain
ticket de kar siyahat ki jagah par
wo qudrat ke nazare bechte hain
nashe ki shakl mein kuchh log zalim
yahan waqti sahaare bechte hain
hamesha faede ka nam de kar
ye tajir kyon KHasare bechte hain
hain kuchh aise bhi jo ghurbat se Dar kar
yahan aankhon ke tare bechte hain
baDe sab KHwab ek roTi ke badle
lo hum sare ke sare bechte hain
aji ye sirf sochon ki dukan hai
yahan saman udhaare bechte hain
hai jin ka husn sho’la-bar yan par
wo logon mein sharare bechte hain
suna hai hum ne raddi ki dukan par
wo apne shah-pare bechte hain
wo jin ki guftugu hai shahd jaisi
wo sanpon ke piTare bechte hain
suna hai aaj-kal baiThe hain farigh
jo logon mein shumare bechte hain
kahan pahle kabhi hota tha aisa
ki ab to istiKHare bechte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.