jo gham mile the humse sanbhaale nahin gae
jo ġham mile the ham se sañbhāle nahīñ ga.e
ye kam nahīñ hai dar se jo Taale nahīñ ga.e
ik baar us ko soch liyā thā ḳhayāl ne
phir is ke baad duur ujāle nahīñ ga.e
kuchh aise rāste bhī junūñ kī haiñ yādgār
jo rāste kisī se nikāle nahīñ ga.e
jamtā na mere naam pe tashkīk kā ġhubār
tārīḳh ke varaq hī khañgāle nahīñ ga.e
in manzaroñ ke vāste ham ko chunā gayā
nezoñ pe sar tumhāre uchhāle nahīñ ga.e
ik raaz jo batā diyā us kī nigāh ne
phir duur us se qāfile vaale nahīñ ga.e
āñkhoñ meñ us kī 'nūr' chamak thī yaqīn kī
bekār mere paaoñ ke chhāle nahīñ ga.e
jo gham mile the hum se sanbhaale nahin gae
ye kam nahin hai dar se jo Tale nahin gae
ek bar us ko soch liya tha KHayal ne
phir is ke baad dur ujale nahin gae
kuchh aise raste bhi junun ki hain yaadgar
jo raste kisi se nikale nahin gae
jamta na mere nam pe tashkik ka ghubar
tariKH ke waraq hi khangale nahin gae
in manzaron ke waste hum ko chuna gaya
nezon pe sar tumhaare uchhaale nahin gae
ek raaz jo bata diya us ki nigah ne
phir dur us se qafile wale nahin gae
aankhon mein us ki 'nur' chamak thi yaqin ki
bekar mere paon ke chhaale nahin gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.