jo gham-nasib hain kyon wo KHushi se milte hain
jo ġham-nasīb haiñ kyoñ vo ḳhushī se milte haiñ
añdhere dekhiye kab raushnī se milte haiñ
junūn-e-shauq ko sahrā-navard paayā hai
kuchh us ke rishte bhī āvārgī se milte haiñ
ḳhulūs bhī koī banjar zamīn hai shāyad
subūt is ke mirī zindagī se milte haiñ
vo baat kah dī jise aql-o-dil qubūl kareñ
ye dushmanī hai to ham dushmanī se milte haiñ
maqām hote haiñ dil ke qarīb bhī lekin
ġhurūr se nahīñ vo ājizī se milte haiñ
pasand ḳhātir-e-ahbāb hoñ na hoñ lekin
vo log bhī haiñ jo sāda-dilī se milte haiñ
amiir logoñ ko aish-o-nishāt ke sāmāñ
ġharīb logoñ kī fāqa-kashī se milte haiñ
ḳhud apne aap se aksar mile haiñ yuuñ bhī 'rafī.a'
ki jaise log kisī ajnabī se milte hiiñ
jo gham-nasib hain kyon wo KHushi se milte hain
andhere dekhiye kab raushni se milte hain
junun-e-shauq ko sahra-naward paya hai
kuchh us ke rishte bhi aawargi se milte hain
KHulus bhi koi banjar zamin hai shayad
subut is ke meri zindagi se milte hain
wo baat kah di jise aql-o-dil qubul karen
ye dushmani hai to hum dushmani se milte hain
maqam hote hain dil ke qarib bhi lekin
ghurur se nahin wo aajizi se milte hain
pasand KHatir-e-ahbab hon na hon lekin
wo log bhi hain jo sada-dili se milte hain
amir logon ko aish-o-nishat ke saman
gharib logon ki faqa-kashi se milte hain
KHud apne aap se aksar mile hain yun bhi 'rafia'
ki jaise log kisi ajnabi se milte hin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.