jo gir ke mere hath se TuTa bhi nahin tha
jo gir ke mire haath se TuuTā bhī nahīñ thā
aisā bhī nahīñ hai ki vo shīsha bhī nahīñ thā
jab merī hifāzat ke ye sāmān nahīñ the
tab itnā mirī jaan ko ḳhatra bhī nahīñ thā
kyā jāniye kyoñ bhar sī ga.ī merī tabī.at
jī bhar ke tire shahr ko dekhā bhī nahīñ thā
jin ke liye ye jaan hathelī pe rahī hai
hogā mirā qātil kabhī sochā bhī nahīñ thā
ma.alūm nahīñ kaise nikal aa.e bhañvar se
har chand ke tinke kā sahārā bhī nahīñ thā
sar rakkhā hai sajde meñ bahut soch samajh kar
bande ke liye aur koī chāra bhī nahīñ thā
jo gir ke mere hath se TuTa bhi nahin tha
aisa bhi nahin hai ki wo shisha bhi nahin tha
jab meri hifazat ke ye saman nahin the
tab itna meri jaan ko KHatra bhi nahin tha
kya jaaniye kyon bhar si gai meri tabiat
ji bhar ke tere shahr ko dekha bhi nahin tha
jin ke liye ye jaan hatheli pe rahi hai
hoga mera qatil kabhi socha bhi nahin tha
malum nahin kaise nikal aae bhanwar se
har chand ke tinke ka sahaara bhi nahin tha
sar rakkha hai sajde mein bahut soch samajh kar
bande ke liye aur koi chaara bhi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.