jo guftugu se qaum ka rahbar laga mujhe
jo guftugū se qaum kā rahbar lagā mujhe
jab ham-safar banā to bahut Dar lagā mujhe
jab ashk un kī aañkh ke palkoñ tak aa ga.e
ghar kā har ek gosha munavvar lagā mujhe
le kar udāsiyāñ jo tirī bazm se uThā
behad ujaaḌ shahr kā manzar lagā mujhe
apne vujūd kā liyā jab jab bhī jā.eza
har shaḳhs apnī zaat se behtar lagā mujhe
tark-e-vafā kā jis ne bhī mujh ko diyā sabaq
har aisā dost raah kā patthar lagā mujhe
thā us kī bāt-chīt meñ kaisā ye bāñkpan
ā.īna saaf thā magar aazar lagā mujhe
'rizvān' us ke ḳhvāb bahut hī hasīn the
bahr-e-vafā kā jo bhī shanāvar lagā mujhe
jo guftugu se qaum ka rahbar laga mujhe
jab ham-safar bana to bahut Dar laga mujhe
jab ashk un ki aankh ke palkon tak aa gae
ghar ka har ek gosha munawwar laga mujhe
le kar udasiyan jo teri bazm se uTha
behad ujaD shahr ka manzar laga mujhe
apne wujud ka liya jab jab bhi jaeza
har shaKHs apni zat se behtar laga mujhe
tark-e-wafa ka jis ne bhi mujh ko diya sabaq
har aisa dost rah ka patthar laga mujhe
tha us ki baat-chit mein kaisa ye bankpan
aaina saf tha magar aazar laga mujhe
'rizwan' us ke KHwab bahut hi hasin the
bahr-e-wafa ka jo bhi shanawar laga mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.