jo gulshan ki rangin faza dekhta hun
jo gulshan kī rangīñ fazā dekhtā huuñ
vo terī hī koī adā dekhtā huuñ
majāz ik haqīqat-numā dekhtā huuñ
butoñ meñ jamāl-e-ḳhudā dekhtā huuñ
sū-e-mai-kada apnī dastār oḌhe
vo kaun aa rahā hai ye kyā dekhtā huuñ
qayāmat koī jaise hai aane vaalī
tujhe bhī vafā-āshnā dekhtā huuñ
ye sāda-dilī ke sivā aur kyā hai
tirā aaj bhī rāsta dekhtā huuñ
bhulā duuñ 'nadīm' apnī barbādiyoñ ko
isī meñ ab apnī baqā dekhtā huuñ
jo gulshan ki rangin faza dekhta hun
wo teri hi koi ada dekhta hun
majaz ek haqiqat-numa dekhta hun
buton mein jamal-e-KHuda dekhta hun
su-e-mai-kada apni dastar oDhe
wo kaun aa raha hai ye kya dekhta hun
qayamat koi jaise hai aane wali
tujhe bhi wafa-ashna dekhta hun
ye sada-dili ke siwa aur kya hai
tera aaj bhi rasta dekhta hun
bhula dun 'nadim' apni barbaadiyon ko
isi mein ab apni baqa dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.