jo guzre jaan se to paya-e-takmil tak pahunche
jo guzre jaan se to pāya-e-takmīl tak pahuñche
nahīñ mumkin ki koī ziist kī tafsīl tak pahuñche
rahe abjad ke chakkar hī meñ jo the fikr se aarī
hue fāzil vahī jo zauq kī takmīl tak pahuñche
rahe bartar jahāñ meñ diin ke jab tak rahe shaidā
hue jab diin se ġhāfil to ham tazlīl tak pahuñche
pahuñchtā hai dalā.el se to insāñ bad natīje par
zarā sī baat thī kyoñ us kī tum tāvīl tak pahuñche
tū apnī zindagī meñ ḳhud ko pahuñchā aisī ḳhūbī tak
zamāna ho tirā joyā tirī tamsīl tak pahuñche
rasā.ī jin kī thī sarkār-e-sharq-o-ġharb ke dar tak
vo sham.a-e-dīn ko le kar hazāroñ miil tak pahuñche
bahut se naujavāñ ghuum aa.e landan aur paris tak
koī mard-e-jarī ausāf-e-ismā.īl tak pahuñche
zamīn-e-sher kī ārā.ishoñ hī tak na rakh matlab
taḳhayyul hai vahī jo halqa-e-jibrīl tak pahuñche
qavāfī chand dām-e-fikr tak pahuñche the ai 'sā.ir'
ye alfāz-e-hasīñ ash.ār kī tashkīl tak pahuñche
jo guzre jaan se to paya-e-takmil tak pahunche
nahin mumkin ki koi zist ki tafsil tak pahunche
rahe abjad ke chakkar hi mein jo the fikr se aari
hue fazil wahi jo zauq ki takmil tak pahunche
rahe bartar jahan mein din ke jab tak rahe shaida
hue jab din se ghafil to hum tazlil tak pahunche
pahunchta hai dalael se to insan bad natije par
zara si baat thi kyon us ki tum tawil tak pahunche
tu apni zindagi mein KHud ko pahuncha aisi KHubi tak
zamana ho tera joya teri tamsil tak pahunche
rasai jin ki thi sarkar-e-sharq-o-gharb ke dar tak
wo shama-e-din ko le kar hazaron mil tak pahunche
bahut se naujawan ghum aae landan aur paris tak
koi mard-e-jari ausaf-e-ismail tak pahunche
zamin-e-sher ki aaraishon hi tak na rakh matlab
taKHayyul hai wahi jo halqa-e-jibril tak pahunche
qawafi chand dam-e-fikr tak pahunche the ai 'sair'
ye alfaz-e-hasin ashaar ki tashkil tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.