jo hasil-e-kitab tha wo bab aaine mein tha
jo hāsil-e-kitāb thā vo baab aa.ine meñ thā
nazar ke har savāl kā javāb aa.ine meñ thā
badan kī dhūp-chhāñv meñ thī gard māh-o-sāl kī
thī gardishoñ meñ umr aur shabāb aa.ine meñ thā
sazā atā ke darmiyāñ hai rābta ajiib sā
gunāh sab badan meñ the azaab aa.ine meñ thā
nihāñ kisī kī fikr meñ ayaañ kisī ke zikr se
ḳhirad ke rang jo bhī the hisāb aa.ine meñ thā
surūr-e-sāz-e-zindagī fanā kī qaid meñ rahā
baqā-e-dard kā amiiñ rabāb aa.ine meñ thā
jo hasil-e-kitab tha wo bab aaine mein tha
nazar ke har sawal ka jawab aaine mein tha
badan ki dhup-chhanw mein thi gard mah-o-sal ki
thi gardishon mein umr aur shabab aaine mein tha
saza ata ke darmiyan hai rabta ajib sa
gunah sab badan mein the azab aaine mein tha
nihan kisi ki fikr mein ayan kisi ke zikr se
KHirad ke rang jo bhi the hisab aaine mein tha
surur-e-saz-e-zindagi fana ki qaid mein raha
baqa-e-dard ka amin rabab aaine mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.