jo hai nahin use khone ka Dar diya mujhko
jo hai nahīñ use khone kā Dar diyā mujh ko
is ek soch ne bīmār kar diyā mujh ko
kisī ne phūloñ sā paayā to mujh ko toḌ chalā
kisī ne zaḳhm sā samjhā to bhar diyā mujh ko
ye terā ḳhvāb in āñkhoñ meñ kis tarah aayā
ye kis ne niiñd meñ bechain kar diyā mujh ko
nasha utarte hī chaḌhtā thā us kī āñkhoñ ne
har ek jaam sahī vaqt par diyā mujh ko
is ik ḳhayāl ne ki terā saath kaafī hai
sabhī ke saath se mahrūm kar diyā mujh ko
jo hai nahin use khone ka Dar diya mujh ko
is ek soch ne bimar kar diya mujh ko
kisi ne phulon sa paya to mujh ko toD chala
kisi ne zaKHm sa samjha to bhar diya mujh ko
ye tera KHwab in aankhon mein kis tarah aaya
ye kis ne nind mein bechain kar diya mujh ko
nasha utarte hi chaDhta tha us ki aankhon ne
har ek jam sahi waqt par diya mujh ko
is ek KHayal ne ki tera sath kafi hai
sabhi ke sath se mahrum kar diya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.