jo hanste bolte to sharh-e-arzu karte
jo hañste bolte to sharh-e-ārzū karte
butoñ se kis tarah allāh guftugū karte
halāk hasrat-e-marg-e-nau ai ajal hote
jo aur jiite to marne kī aarzū karte
namāz paḌhnī thī mehrāb-e-teġh-e-qātil meñ
na apne ḳhuun se kis tarah ham vuzū karte
jo dekh lete dil-e-bā-vafā ke dāġhoñ ko
to gul chaman meñ na da.avā-e-rang-o-bū karte
muḳhālifat meñ bhī gardūñ kī kaam ban jaatā
ki ham ḳhilāf tamannā ke aarzū karte
na sunte ek bhī ye dostī kī ḳhūbī thī
hazār tum se burā.ī mirī adū karte
huzūr jhuuT kī tāvīl tā-kujā āḳhir
kahāñ tak aap kī bātoñ meñ ham rafū karte
na poñchhte kabhī āñchal se ġhair ke aañsū
'shahīr' vo jo mirā pās-e-ābrū karte
jo hanste bolte to sharh-e-arzu karte
buton se kis tarah allah guftugu karte
halak hasrat-e-marg-e-nau ai ajal hote
jo aur jite to marne ki aarzu karte
namaz paDhni thi mehrab-e-tegh-e-qatil mein
na apne KHun se kis tarah hum wuzu karte
jo dekh lete dil-e-ba-wafa ke daghon ko
to gul chaman mein na dawa-e-rang-o-bu karte
muKHalifat mein bhi gardun ki kaam ban jata
ki hum KHilaf tamanna ke aarzu karte
na sunte ek bhi ye dosti ki KHubi thi
hazar tum se burai meri adu karte
huzur jhuT ki tawil ta-kuja aaKHir
kahan tak aap ki baaton mein hum rafu karte
na ponchhte kabhi aanchal se ghair ke aansu
'shahir' wo jo mera pas-e-abru karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.