jo hasin zist ki taswir dikhai sab ne
jo hasīñ ziist kī tasvīr dikhā.ī sab ne
ik kahānī thī sunī aur sunā.ī sab ne
sirf ḳhvāboñ kā sarāboñ kā safar jiite haiñ
zindagī kī jo haqīqat hai bhulā.ī sab ne
ḳhud banā kar vo na.ī rasm kahā karte haiñ
rasm to rasm hai phir rasm nibhā.ī sab ne
ḳhuun de de ke jise sab ne bujhāyā thā kabhī
jaane kyoñ phir se vahī aag lagā.ī sab ne
ahl-e-dil ke liye kyā jaan kī baazī 'mītā'
jaan denī thī to phir jaan gañvā.ī sab ne
jo hasin zist ki taswir dikhai sab ne
ek kahani thi suni aur sunai sab ne
sirf KHwabon ka sarabon ka safar jite hain
zindagi ki jo haqiqat hai bhulai sab ne
KHud bana kar wo nai rasm kaha karte hain
rasm to rasm hai phir rasm nibhai sab ne
KHun de de ke jise sab ne bujhaya tha kabhi
jaane kyon phir se wahi aag lagai sab ne
ahl-e-dil ke liye kya jaan ki bazi 'mita'
jaan deni thi to phir jaan ganwai sab ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.