jo havā hai sūrat-e-bād-e-muḳhālif tez hai
dil kā maidāñ hai ki ik sahrā-e-āfat-ḳhez hai
mere saaqī dam-ba-dam kyūñkar bharā aa.e na dil
duur huuñ maiñ aur sāġhar bazm meñ labrez hai
dukh uThāne kī bhī āḳhir hotī hai kuchh intihā
bulbul-e-dil kā mire naġhma bhī dard-añgez hai
aamad aamad hai ḳhizāñ kī kyuuñ na ro.e andalīb
gul abhī nau-kār haiñ sabza abhī nau-ḳhez hai
tere vahshī jaate haiñ uftān-o-ḳhezāñ sū-e-dasht
ho junūñ dekhe se aisī chaal vahshat-ḳhez hai
kyuuñ na ro.eñ saikḌoñ tūfān uTThe chaah meñ
ham na vāqif the ki bahr-e-ishq tūfāñ-ḳhez hai
āb-e-ḳhanjar tū milā de to chhalak jaa.e abhī
umr kā sāġhar yahāñ ik umr se labrez hai
us pe martā huuñ mire marne kī hai jis ko ḳhushī
āriza vo hai ki jis se maut ko parhez hai
tuḳhm ulfat kā zamīn-e-dil meñ bonā kyā zarūr
log kahte haiñ ki ye to ḳhud mohabbat-ḳhez hai
ho jahāñ ma.ashūq vaañ āshiq bhī hotā hai zarūr
yaañ yuuñ hī roz-e-azal se husn-o-ishq aamez hai
naza.a meñ bhī mātam-e-dil hai talāsh-e-yār hai
paañv haiñ chālāk ab tak haath ab tak tez hai
kis takalluf se nibāhī maiñ ne ulfat aap kī
faḳhr kartā huuñ ki merā ishq husn-āmez hai
kaaT ke sar merā tum ne haath meñ laTkā diyā
dekho ye merī vafādārī kī dastāvez hai
kar diyā hai mast saare ḳhuftagān-e-ḳhāk ko
kyā huā shahr-e-ḳhamoshāñ kī nashāt-añgez hai
hai 'rashīd' ab tak giyāh-e-lucknow mardum giyāh
kyā zamīñ hai jo ujaḌ jaane pe mardum-ḳhez hai
jo hawa hai surat-e-baad-e-muKHalif tez hai
dil ka maidan hai ki ek sahra-e-afat-KHez hai
mere saqi dam-ba-dam kyunkar bhara aae na dil
dur hun main aur saghar bazm mein labrez hai
dukh uThane ki bhi aaKHir hoti hai kuchh intiha
bulbul-e-dil ka mere naghma bhi dard-angez hai
aamad aamad hai KHizan ki kyun na roe andalib
gul abhi nau-kar hain sabza abhi nau-KHez hai
tere wahshi jate hain uftan-o-KHezan su-e-dasht
ho junun dekhe se aisi chaal wahshat-KHez hai
kyun na roen saikDon tufan uTThe chah mein
hum na waqif the ki bahr-e-ishq tufan-KHez hai
aab-e-KHanjar tu mila de to chhalak jae abhi
umr ka saghar yahan ek umr se labrez hai
us pe marta hun mere marne ki hai jis ko KHushi
aariza wo hai ki jis se maut ko parhez hai
tuKHm ulfat ka zamin-e-dil mein bona kya zarur
log kahte hain ki ye to KHud mohabbat-KHez hai
ho jahan mashuq wan aashiq bhi hota hai zarur
yan yun hi roz-e-azal se husn-o-ishq aamez hai
naza mein bhi matam-e-dil hai talash-e-yar hai
panw hain chaalak ab tak hath ab tak tez hai
kis takalluf se nibahi main ne ulfat aap ki
faKHr karta hun ki mera ishq husn-amez hai
kaT ke sar mera tum ne hath mein laTka diya
dekho ye meri wafadari ki dastawez hai
kar diya hai mast sare KHuftagan-e-KHak ko
kya hua shahr-e-KHamoshan ki nashat-angez hai
hai 'rashid' ab tak giyah-e-lucknow mardum giyah
kya zamin hai jo ujaD jaane pe mardum-KHez hai
Source :
Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-84 page-80)
Author : Piyare Sahab Rasheed
Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.