jo hijr maine saha hai us ka hisab aata to mar na jata
jo hijr maiñ ne sahā hai us kā hisāb aatā to mar na jaatā
yā phir kabhī jo kahīñ achānak visāl paatā to mar na jaatā
vo bevafā thā magar vo ehsās jāntā thā so chup rahā maiñ
maiñ us ke va.ade usī kī qasmeñ use sunātā to mar na jaatā
maiñ chand tasvīr ḳhat purāne liye abhī tak to jī rahā huuñ
agar maiñ un ko kabhī jalātā tumheñ bhulātā to mar na jaatā
vo ik sahāfī jo sach ko likhte na.ī hukūmat se Dar gayā thā
ḳhilāf ho kar vahī hukūmat ko sach dikhātā to mar na jaatā
vo hijr terā vo din ġharībī ke aur logoñ kā jaan khonā
maiñ in havādis se bach gayā huuñ jo marnā aatā to mar na jaatā
jo hijr main ne saha hai us ka hisab aata to mar na jata
ya phir kabhi jo kahin achanak visal pata to mar na jata
wo bewafa tha magar wo ehsas jaanta tha so chup raha main
main us ke wade usi ki qasmen use sunata to mar na jata
main chand taswir KHat purane liye abhi tak to ji raha hun
agar main un ko kabhi jalata tumhein bhulata to mar na jata
wo ek sahafi jo sach ko likhte nai hukumat se Dar gaya tha
KHilaf ho kar wahi hukumat ko sach dikhata to mar na jata
wo hijr tera wo din gharibi ke aur logon ka jaan khona
main in hawadis se bach gaya hun jo marna aata to mar na jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.