jo ho chuka hai jo hona hai us ka sangam hai
jo ho chukā hai jo honā hai us kā sangam hai
abhī se aage muallaq hai pīchhe mubram hai
hamāre shahr ke har sach meñ jhuuT mudġham hai
yahāñ safed-o-siyah kī tamīz mub.ham hai
bas ek maiñ se azāzīl ho gayā iblīs
aur ik duā kī badaulat ḳhalīfa aadam hai
na hā-o-hū na koī chīḳh hai sar-e-maqtal
hamāre shahr meñ kaisā ye hū kā aalam hai
kisī ke shauq ne gangā kā ruup dhaar liyā
kisī ke ishq kā iz.hār āb-e-zamzam hai
kahāñ pe bhej diyā hai ye kaisī duniyā hai
ki zindagī to yahāñ ek jehd-e-paiham hai
jo haal pūchhne aa.e haiñ mere zaḳhmoñ kā
kisī ke haath namak hai kisī ke marham hai
ye kis ne soch kā is shab diyā jalāyā hai
fasīl-e-shahr pe ab raushnī kā parcham hai
ye kyā savāl uThāyā hai phir 'hidāyat' ne
faqīh-e-shahr kā phir se mizāj barham hai
jo ho chuka hai jo hona hai us ka sangam hai
abhi se aage muallaq hai pichhe mubram hai
hamare shahr ke har sach mein jhuT mudgham hai
yahan safed-o-siyah ki tamiz mubham hai
bas ek main se azazil ho gaya iblis
aur ek dua ki badaulat KHalifa aadam hai
na ha-o-hu na koi chiKH hai sar-e-maqtal
hamare shahr mein kaisa ye hu ka aalam hai
kisi ke shauq ne ganga ka rup dhaar liya
kisi ke ishq ka izhaar aab-e-zamzam hai
kahan pe bhej diya hai ye kaisi duniya hai
ki zindagi to yahan ek jehd-e-paiham hai
jo haal puchhne aae hain mere zaKHmon ka
kisi ke hath namak hai kisi ke marham hai
ye kis ne soch ka is shab diya jalaya hai
fasil-e-shahr pe ab raushni ka parcham hai
ye kya sawal uThaya hai phir 'hidayat' ne
faqih-e-shahr ka phir se mizaj barham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.