jo ho chuka hai lahu ab wo shir jagega
jo ho chukā hai lahū ab vo shiir jāgegā
vo zulm hai ki har ik kā zamīr jāgegā
bahut dinoñ meñ lī nafrat ne dil meñ añgḌā.ī
jo mahv-e-ḳhvāb hai tarkash kā tiir jāgegā
javān beTī ke hamrāh bhiik māñgtā hai
nigāh-e-bad jo paḌegī faqīr jāgegā
parā.e ḳhuun se itnā bhī pyaar kyā karnā
baḌhegī umr to is kā ḳhamīr jāgegā
chitā ke sho.aloñ ko rahne de sard hī varna
bhaḌak uThegā to murda sharīr jāgegā
ye kis savāl meñ uljhe hue haiñ farzāne
koī jagā.e to barr-e-saġhīr jāgegā
adab-navāz ke andar rahī jo bedārī
to ḳhānqāh-e-adab kā bhī piir jāgegā
ai mere dost lagā inqalāb kā na.ara
har ek ghar kā saġhīr-o-kabīr jāgegā
ḳhayāl-e-ḳhām hai shaitān varġhalātā hai
vo sotā kab hai ki rabb-e-qadīr jāgegā
tū apne lams ke jaadū pe e.atibār na kar
ise jhiñjhoḌ tab is kā sharīr jāgegā
rah-e-talab meñ na bhaTkegā koī bhī 'ahsan'
jo kārvāñ kī umīdoñ kā miir jāgegā
jo ho chuka hai lahu ab wo shir jagega
wo zulm hai ki har ek ka zamir jagega
bahut dinon mein li nafrat ne dil mein angDai
jo mahw-e-KHwab hai tarkash ka tir jagega
jawan beTi ke hamrah bhik mangta hai
nigah-e-bad jo paDegi faqir jagega
parae KHun se itna bhi pyar kya karna
baDhegi umr to is ka KHamir jagega
chita ke shoalon ko rahne de sard hi warna
bhaDak uThega to murda sharir jagega
ye kis sawal mein uljhe hue hain farzane
koi jagae to barr-e-saghir jagega
adab-nawaz ke andar rahi jo bedari
to KHanqah-e-adab ka bhi pir jagega
ai mere dost laga inqalab ka nara
har ek ghar ka saghir-o-kabir jagega
KHayal-e-KHam hai shaitan warghalata hai
wo sota kab hai ki rabb-e-qadir jagega
tu apne lams ke jadu pe eatibar na kar
ise jhinjhoD tab is ka sharir jagega
rah-e-talab mein na bhaTkega koi bhi 'ahsan'
jo karwan ki umidon ka mir jagega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.