jo ho jae dushman wo sahir kisi ka
jo ho jaa.e dushman vo sāhir kisī kā
yahīñ hashr ho jaa.e āḳhir kisī kā
jafāoñ se apnī kiyā mujh pe jaadū
milā mujh ko tohfa ye nādir kisī kā
badal le jo apnī burī har ravish ko
to ho jaa.e bātin bhī tāhir kisī kā
akele hī ab zindagī mat guzāro
tumheñ bhī to honā hai āḳhir kisī kā
hai ab bhī mire dil meñ kuchh yaad baaqī
mohabbat se milnā vo 'bāsir' kisī kā
jo ho jae dushman wo sahir kisi ka
yahin hashr ho jae aaKHir kisi ka
jafaon se apni kiya mujh pe jadu
mila mujh ko tohfa ye nadir kisi ka
badal le jo apni buri har rawish ko
to ho jae baatin bhi tahir kisi ka
akele hi ab zindagi mat guzaro
tumhein bhi to hona hai aaKHir kisi ka
hai ab bhi mere dil mein kuchh yaad baqi
mohabbat se milna wo 'basir' kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.