jo ho sake to mayassar hamein tamam raho
jo ho sake to mayassar hameñ tamām raho
qayām dil meñ karo aur yahīñ mudām raho
ye koī baat ki us ke hue kabhī us ke
hamāre ho to sarāsar hamāre naam raho
kabhī to aao hamārī rasā.ī kī had meñ
kabhī kabhī to hamāre liye bhī aam raho
ba.iid kuchh bhī nahīñ hai hamārī baat suno
tanāb-e-ḳhema-e-imkāñ zarā sā thaam raho
nahīñ hai chaah hameñ manziloñ kī koī 'ufuq'
safar meñ saath hamāre har ek gaam raho
jo ho sake to mayassar hamein tamam raho
qayam dil mein karo aur yahin mudam raho
ye koi baat ki us ke hue kabhi us ke
hamare ho to sarasar hamare nam raho
kabhi to aao hamari rasai ki had mein
kabhi kabhi to hamare liye bhi aam raho
baid kuchh bhi nahin hai hamari baat suno
tanab-e-KHema-e-imkan zara sa tham raho
nahin hai chah hamein manzilon ki koi 'ufuq'
safar mein sath hamare har ek gam raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.