jo hona tha hua shikwa gila kya
jo honā thā huā shikva gilā kyā
mohabbat meñ vafā kaisī jafā kyā
dil-e-māyūs ye āh-o-bukā kyā
shikasta saaz kī āḳhir sadā kyā
mire āġhosh meñ khele haiñ tūfāñ
maiñ mauj-e-bahr-e-ġham meñ Dūbtā kyā
jamāl-e-barq hai jin kī tajallī
nazar un se milā.ūñ maiñ bhalā kyā
na hushyāroñ na dīvānoñ meñ haiñ aap
vo farmāte haiñ mujh se aap kā kyā
tirā va.ada kahāñ tak saath degā
qayāmat se milegā silsila kyā
churā liiñ maiñ ne dānista nigāheñ
bharī mahfil meñ un ko dekhtā kyā
nigāh-e-nāz ke maare hue haiñ
hamāre sāmne āb-e-baqā kyā
dil-e-betāb aur tum se shikāyat
ye dīvāna hai is kī baat kā kyā
tumhīñ ne pher liiñ jab mujh se nazreñ
zamāna dil ko degā aasrā kyā
vo ḳhud chāheñ tujhe ye chāhtā hai
'vakīl'-e-be-adab terī sazā kyā
jo hona tha hua shikwa gila kya
mohabbat mein wafa kaisi jafa kya
dil-e-mayus ye aah-o-buka kya
shikasta saz ki aaKHir sada kya
mere aaghosh mein khele hain tufan
main mauj-e-bahr-e-gham mein Dubta kya
jamal-e-barq hai jin ki tajalli
nazar un se milaun main bhala kya
na hushyaron na diwanon mein hain aap
wo farmate hain mujh se aap ka kya
tera wada kahan tak sath dega
qayamat se milega silsila kya
chura lin main ne danista nigahen
bhari mahfil mein un ko dekhta kya
nigah-e-naz ke mare hue hain
hamare samne aab-e-baqa kya
dil-e-betab aur tum se shikayat
ye diwana hai is ki baat ka kya
tumhin ne pher lin jab mujh se nazren
zamana dil ko dega aasra kya
wo KHud chahen tujhe ye chahta hai
'wakil'-e-be-adab teri saza kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.