jo imtihan-e-wafa ko wo tund-KHu aae
jo imtihān-e-vafā ko vo tund-ḳhū aa.e
tirā jigar nahīñ ai bul-havas ke tū aa.e
hai istifāda-e-sohbat ko shart istedād
muhāl hai kabhī kāñToñ meñ gul kī bū aa.e
vo sajda kyoñ na kare be-ḳhudī meñ chaar taraf
tirā hī jalva nazar jis ko chār-sū aa.e
jab aa.e tum to baḌhāne ko aa.e hasrat ke
kabhī nikālne ko merī aarzū aa.e
ye kah rahā hai kisī kā jamāl-e-hosh-rubā
kare jo hosh kā da.avā vo rū-ba-rū aa.e
hujūm-e-yās se dil bhar gayā ye ḳhuub huā
jagah nahīñ rahī baaqī ki aarzū aa.e
bahār-e-ashk hue us galī meñ rusvā ham
milā.e ḳhaak meñ motī sī aabrū aa.e
nasīm tujh ko mubārak bahār kā aanā
qafas meñ huuñ mujhe kyā lutf-e-rang-o-bū aa.e
butoñ kī saarī haqīqat barahmno khul jaa.e
abhī zabān par apnī jo ek hū aa.e
haram thā duur na chūmā jo sang-e-asvad ko
sanam-kade meñ butoñ ke qadam to chhū aa.e
use hayā nahīñ kahte ye zulm hai zālim
ġhazab hai ḳhvāb meñ bhī muñh chhupā ke tū aa.e
ḳhudā kī shaan ke qurbān o but-e-bedard
tasalliyāñ mujhe dene ko aur tū aa.e
'ḳhayāl' vasl kī shab hijr kā gila kaisā
ḳhushī meñ kyoñ koī ranjish kī bū aa.e
jo imtihan-e-wafa ko wo tund-KHu aae
tera jigar nahin ai bul-hawas ke tu aae
hai istifada-e-sohbat ko shart istedad
muhaal hai kabhi kanTon mein gul ki bu aae
wo sajda kyon na kare be-KHudi mein chaar taraf
tera hi jalwa nazar jis ko chaar-su aae
jab aae tum to baDhane ko aae hasrat ke
kabhi nikalne ko meri aarzu aae
ye kah raha hai kisi ka jamal-e-hosh-ruba
kare jo hosh ka dawa wo ru-ba-ru aae
hujum-e-yas se dil bhar gaya ye KHub hua
jagah nahin rahi baqi ki aarzu aae
bahaar-e-ashk hue us gali mein ruswa hum
milae KHak mein moti si aabru aae
nasim tujh ko mubarak bahaar ka aana
qafas mein hun mujhe kya lutf-e-rang-o-bu aae
buton ki sari haqiqat barahmno khul jae
abhi zaban par apni jo ek hu aae
haram tha dur na chuma jo sang-e-aswad ko
sanam-kade mein buton ke qadam to chhu aae
use haya nahin kahte ye zulm hai zalim
ghazab hai KHwab mein bhi munh chhupa ke tu aae
KHuda ki shan ke qurban o but-e-bedard
tasalliyan mujhe dene ko aur tu aae
'KHayal' wasl ki shab hijr ka gila kaisa
KHushi mein kyon koi ranjish ki bu aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.