jo ishq ko khel samajhte hain wo gham ki lazzat kya jaanen
jo ishq ko khel samajhte hain wo gham ki lazzat kya jaanen
Mohan Singh Deewana
MORE BYMohan Singh Deewana
jo ishq ko khel samajhte haiñ vo ġham kī lazzat kyā jāneñ
jo kho.e ga.e haiñ vahdat meñ irfān-e-kasrat kyā jāneñ
iflās ke maare ham kyūñkar apne dil ko bahlāte haiñ
āshufta-e-daulat kyā jāneñ ḳhvābīda-e-rāhat kyā jāneñ
shaidā hai koī taraqqī kā ḳhā.if hai koī tanazzul se
daur-e-gardūn-e-mudavvar kī ye log ahmiyat kyā jāneñ
munkir haiñ ḳhudā kī hastī se jo aap ḳhudā ban baiThe haiñ
īmān kī rif.at kyā jāneñ mastī kī vus.at kyā jāneñ
bāzī-e-hayāt-o-maut mujhe aarī nahīñ maqsad-e-aulā se
parde ke pīchhe kyā kyā hai be-nūr basīrat kyā jāneñ
har qaul-o-fe.al do-ālam kā vo ek muharrik-o-nāzim hai
hasanāt-e-nazm se be-bahra sheriyat-e-ḳhilqat kyā jāneñ
har mausam kā husn apnā hai har diin kā nashsha apnā hai
har ahd kī apnī qīmat hai ham farq kī azmat kyā jāneñ
jo ishq ko khel samajhte hain wo gham ki lazzat kya jaanen
jo khoe gae hain wahdat mein irfan-e-kasrat kya jaanen
iflas ke mare hum kyunkar apne dil ko bahlate hain
aashufta-e-daulat kya jaanen KHwabida-e-rahat kya jaanen
shaida hai koi taraqqi ka KHaif hai koi tanazzul se
daur-e-gardun-e-mudawwar ki ye log ahmiyat kya jaanen
munkir hain KHuda ki hasti se jo aap KHuda ban baiThe hain
iman ki rifat kya jaanen masti ki wusat kya jaanen
bazi-e-hayat-o-maut mujhe aari nahin maqsad-e-aula se
parde ke pichhe kya kya hai be-nur basirat kya jaanen
har qaul-o-feal do-alam ka wo ek muharrik-o-nazim hai
hasanat-e-nazm se be-bahra sheriyat-e-KHilqat kya jaanen
har mausam ka husn apna hai har din ka nashsha apna hai
har ahd ki apni qimat hai hum farq ki azmat kya jaanen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.