jo justuju karun har raaz pa bhi sakta hun
jo justujū karūñ har raaz pā bhī saktā huuñ
maiñ kā.enāt se parda uThā bhī saktā huuñ
mire buzurgoñ ne baḳhshī hai ik duā aisī
bichhaḌ ga.e haiñ jo un ko milā bhī saktā huuñ
na koī zā.icha khīñchūñ na dekhūñ haath tirā
maiñ tere baare meñ sab kuchh batā bhī saktā huuñ
bas ek raat maiñ sajde meñ gir ke royā thā
ab āsmāñ ko zamīñ par jhukā bhī saktā huuñ
abhī to soch safar hai azal kī samt magar
palaT ke sū-e-abad phir se jā bhī saktā huuñ
mujhe ḳhudā ne vo baḳhshā hai shā.irī kā hunar
jo ḳhvāb dekhtā huuñ vo dikhā bhī saktā huuñ
ye māntā huuñ ki aarif huuñ karbalā se duur
magar maiñ hur kī tarah sar kaTā bhī saktā huuñ
jo justuju karun har raaz pa bhi sakta hun
main kaenat se parda uTha bhi sakta hun
mere buzurgon ne baKHshi hai ek dua aisi
bichhaD gae hain jo un ko mila bhi sakta hun
na koi zaicha khinchun na dekhun hath tera
main tere bare mein sab kuchh bata bhi sakta hun
bas ek raat main sajde mein gir ke roya tha
ab aasman ko zamin par jhuka bhi sakta hun
abhi to soch safar hai azal ki samt magar
palaT ke su-e-abad phir se ja bhi sakta hun
mujhe KHuda ne wo baKHsha hai shairi ka hunar
jo KHwab dekhta hun wo dikha bhi sakta hun
ye manta hun ki aarif hun karbala se dur
magar main hur ki tarah sar kaTa bhi sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.