jo kaam saKHt is dil-e-nashad se hua
jo kaam saḳht is dil-e-nāshād se huā
farhād aur na taisha-e-farhād se huā
har-chand josh-e-girya huā vajh-e-iztirāb
phir bhī sukūn dil ko tirī yaad se huā
har jalva ban gayā chaman-ārā-e-zindagī
kyā kyā na mujh ko faiz tirī yaad se huā
vo umr bhar ko ho gayā shaidā-e-kaif-e-ġham
jo rū-shanās aap kī bedād se huā
har zarra kā.enāt kā larzish meñ aa gayā
hangāma ik nayā mirī fariyād se huā
maiñ aur niyāz-mandī-e-dargāh-e-husn-o-ishq
ai dost jo huā tirī imdād se huā
'sāqib' hai aur jalva-gah-e-husn-e-be-hijāb
itnā to us ko faiz tirī yaad se havā
jo kaam saKHt is dil-e-nashad se hua
farhad aur na taisha-e-farhad se hua
har-chand josh-e-girya hua wajh-e-iztirab
phir bhi sukun dil ko teri yaad se hua
har jalwa ban gaya chaman-ara-e-zindagi
kya kya na mujh ko faiz teri yaad se hua
wo umr bhar ko ho gaya shaida-e-kaif-e-gham
jo ru-shanas aap ki bedad se hua
har zarra kaenat ka larzish mein aa gaya
hangama ek naya meri fariyaad se hua
main aur niyaz-mandi-e-dargah-e-husn-o-ishq
ai dost jo hua teri imdad se hua
'saqib' hai aur jalwa-gah-e-husn-e-be-hijab
itna to us ko faiz teri yaad se hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.