jo kahen wo kar dikhaen is ke hum aamil nahin
jo kaheñ vo kar dikhā.eñ is ke ham 'āmil nahīñ
do zabāneñ kyoñ nahīñ kis vāste do dil nahīñ
pher lūñgā maiñ chhurī gardan par apne haath se
marne vaale ke liye marnā koī mushkil nahīñ
kashti-e-dil ġharq ho jaa.e na ai girdāb-e-ġham
har taraf dariyā hī dariyā hai kahīñ sāhil nahīñ
dil se nikle lab tak aa.e lab se pahuñche 'arsh tak
dil hī dil meñ jo rahe ghuT kar vo āh-e-dil nahīñ
roktī hai is irāde se mujhe merī umiid
maiñ samajhtā thā ki mar jaanā koī mushkil nahīñ
har nafas kahtā hai thak thak kar ye mujh se har nafas
rahrav-e-gum-karda-manzil kī koī manzil nahīñ
kyā karūñ ai ḳhanjar-e-ġham kyā karūñ ai tīr-e-‘ishq
haiñ to do pahlū magar donoñ meñ ek ik dil nahīñ
aas tum ne toḌ dī apne marīz-e-‘ishq kī
us ke muñh par kyoñ kahā jiine ke ye qābil nahīñ
log kahte haiñ ki vo qātil baḌā be-dard hai
us ko bhī bismil na maiñ kar duuñ to phir 'bismil' nahīñ
jo kahen wo kar dikhaen is ke hum 'amil nahin
do zabanen kyon nahin kis waste do dil nahin
pher lunga main chhuri gardan par apne hath se
marne wale ke liye marna koi mushkil nahin
kashti-e-dil gharq ho jae na ai girdab-e-gham
har taraf dariya hi dariya hai kahin sahil nahin
dil se nikle lab tak aae lab se pahunche 'arsh tak
dil hi dil mein jo rahe ghuT kar wo aah-e-dil nahin
rokti hai is irade se mujhe meri umid
main samajhta tha ki mar jaana koi mushkil nahin
har nafas kahta hai thak thak kar ye mujh se har nafas
rahraw-e-gum-karda-manzil ki koi manzil nahin
kya karun ai KHanjar-e-gham kya karun ai tir-e-‘ishq
hain to do pahlu magar donon mein ek ek dil nahin
aas tum ne toD di apne mariz-e-‘ishq ki
us ke munh par kyon kaha jine ke ye qabil nahin
log kahte hain ki wo qatil baDa be-dard hai
us ko bhi bismil na main kar dun to phir 'bismil' nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.