jo kahin hai hi nahin uski tamanna karna
jo kahīñ hai hī nahīñ us kī tamanna karnā
kitnā mushkil hai kisī saaye kā pīchhā karnā
saath baiTheñge kisī jhiil ke paanī meñ ai chāñd
jab bhī kūche se guzarnā to ishāra karnā
mujh ko hī raas nahīñ aatī hai 'ādat apnī
jo bhī karnā vo zarūrat se ziyāda karnā
zindagī tere ravayye se pareshān huuñ maiñ
Thiik hai kyā ye tirā roz tamāsha karnā
terī ulfat meñ hī sīkhā hai ye jiine kā hunar
aas kam rakhnā bahut kam pe guzāra karnā
bas yahī shart hai vo shaḳhs tire jaisā ho
jis se bhī mere dil-e-nāz kā saudā karnā
maiñ bhī is paar tire aane kī ummīd rakhūñ
tum bhī us paar mirā rāsta dekhā karnā
jo kahin hai hi nahin us ki tamanna karna
kitna mushkil hai kisi saye ka pichha karna
sath baiThenge kisi jhil ke pani mein ai chand
jab bhi kuche se guzarna to ishaara karna
mujh ko hi ras nahin aati hai 'adat apni
jo bhi karna wo zarurat se ziyaada karna
zindagi tere rawayye se pareshan hun main
Thik hai kya ye tera roz tamasha karna
teri ulfat mein hi sikha hai ye jine ka hunar
aas kam rakhna bahut kam pe guzara karna
bas yahi shart hai wo shaKHs tere jaisa ho
jis se bhi mere dil-e-naz ka sauda karna
main bhi is par tere aane ki ummid rakhun
tum bhi us par mera rasta dekha karna
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 97)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.