jo kahne mein un ko zamane lage hain
jo kahne meñ un ko zamāne lage haiñ
vahī sun ke ham muskurāne lage haiñ
ye āñkheñ ye 'āriz ye lab aur gesū
inhīñ ke sabab ham Thikāne lage haiñ
zihānat Tapaktī hai bātoñ se us kī
zihānat pe sab tilmilāne lage haiñ
guzāre jo lamhe tire saath ham ne
hameñ ab vo lamhe satāne lage haiñ
ḳhizāñ kā to mausam guzar hī gayā hai
hare paat peḌoñ pe aane lage haiñ
fanā shaḳhsiyat ho rahī hai hamārī
tirī shaḳhsiyat meñ samāne lage haiñ
jo kahne mein un ko zamane lage hain
wahi sun ke hum muskurane lage hain
ye aankhen ye 'ariz ye lab aur gesu
inhin ke sabab hum Thikane lage hain
zihanat Tapakti hai baaton se us ki
zihanat pe sab tilmilane lage hain
guzare jo lamhe tere sath hum ne
hamein ab wo lamhe satane lage hain
KHizan ka to mausam guzar hi gaya hai
hare pat peDon pe aane lage hain
fana shaKHsiyat ho rahi hai hamari
teri shaKHsiyat mein samane lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.