jo kahta hun sach kahta hun barson se
jo kahtā huuñ sach kahtā huuñ barsoñ se
jhūToñ meñ rah kar sachchā huuñ barsoñ se
vaar kare hai mujh par har qātil lamha
hairat hai phir bhī zinda huuñ barsoñ se
mujh ko kyā ā.īna dikhā.egā koī
aap maiñ apnā ā.īna huuñ barsoñ se
chalte phirte sāyoñ kī ye bastī hai
bhiiḌ meñ rah kar bhī tanhā huuñ barsoñ se
be-harkat huuñ patthar ke but kī sūrat
aur sar-e-bāzār khaḌā huuñ barsoñ se
lamha-lamha jaltā-bujhtā rahtā huuñ
maiñ bhī jaise ek diyā huuñ barsoñ se
jo kahta hun sach kahta hun barson se
jhuTon mein rah kar sachcha hun barson se
war kare hai mujh par har qatil lamha
hairat hai phir bhi zinda hun barson se
mujh ko kya aaina dikhaega koi
aap main apna aaina hun barson se
chalte phirte sayon ki ye basti hai
bhiD mein rah kar bhi tanha hun barson se
be-harkat hun patthar ke but ki surat
aur sar-e-bazar khaDa hun barson se
lamha-lamha jalta-bujhta rahta hun
main bhi jaise ek diya hun barson se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.