jo KHatm ho gai thi wo baat chal rahi hai
jo ḳhatm ho ga.ī thī vo baat chal rahī hai
ik sarḳhushī kā aalam bārāt chal rahī hai
tārīkiyoñ ke andar ik raat chal rahī hai
aur raat ke jilau meñ ik ghaat chal rahī hai
kyā kyā bisāt maiñ bhī phailā chukā thā lekin
in meñ kisī pe merī bhī maat chal rahī hai
milne ke sab bahāne nākām ho chuke haiñ
vo kah chuke haiñ mujh se barsāt chal rahī hai
nok-e-qalam pe ḳhushkī tahrīr bhī baġhal meñ
ham kyā batā.eñ kyūñkar vo saat chal rahī hai
maiñ ne hī kah diyā thā tum saath saath chalnā
duniyā ab aage pīchhe bad-zāt chal rahī hai
vo bhī basar huī thī ye bhī guzar rahī hai
donoñ ke pesh-o-pas meñ auqāt chal rahī hai
donoñ ke dast-o-bāzū ik dūsre pe uTThe
jang-o-jidāl kaisī haihāt chal rahī hai
jo KHatm ho gai thi wo baat chal rahi hai
ek sarKHushi ka aalam baraat chal rahi hai
tarikiyon ke andar ek raat chal rahi hai
aur raat ke jilau mein ek ghat chal rahi hai
kya kya bisat main bhi phaila chuka tha lekin
in mein kisi pe meri bhi mat chal rahi hai
milne ke sab bahane nakaam ho chuke hain
wo kah chuke hain mujh se barsat chal rahi hai
nok-e-qalam pe KHushki tahrir bhi baghal mein
hum kya bataen kyunkar wo sat chal rahi hai
main ne hi kah diya tha tum sath sath chalna
duniya ab aage pichhe bad-zat chal rahi hai
wo bhi basar hui thi ye bhi guzar rahi hai
donon ke pesh-o-pas mein auqat chal rahi hai
donon ke dast-o-bazu ek dusre pe uTThe
jang-o-jidal kaisi haihat chal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.