Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo khoe-khoe se hosh-o-hawas rahte hain

Sahir Lakhnavi

jo khoe-khoe se hosh-o-hawas rahte hain

Sahir Lakhnavi

MORE BYSahir Lakhnavi

    jo kho.e-kho.e se hosh-o-havās rahte haiñ

    sabab ye hai vo mire ās-pās rahte haiñ

    vo ham nahīñ jo bikhar jaa.eñ talḳh bātoñ par

    hamāre qaabū meñ apne havās rahte haiñ

    sunā.ūñ kyā maiñ tumheñ dard-e-dil afsāna

    sabab hai kyā ki jo har pal udaas rahte haiñ

    na bach sakoge kisī taur un nazroñ se

    hamāre shahr meñ chehra-shanās rahte haiñ

    ayaañ na ham ne kabhī hai tishnagī 'sāhir'

    chhupā.e hoñToñ meñ ham apne pyaas rahte haiñ

    jo khoe-khoe se hosh-o-hawas rahte hain

    sabab ye hai wo mere aas-pas rahte hain

    wo hum nahin jo bikhar jaen talKH baaton par

    hamare qabu mein apne hawas rahte hain

    sunaun kya main tumhein dard-e-dil ka afsana

    sabab hai kya ki jo har pal udas rahte hain

    na bach sakoge kisi taur un ki nazron se

    hamare shahr mein chehra-shanas rahte hain

    ayan na hum ne kabhi ki hai tishnagi 'sahir'

    chhupae honTon mein hum apne pyas rahte hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now