jo KHud bimar hain wo log bhi nusKHe batate hain
jo ḳhud bīmār haiñ vo log bhī nusḳhe batāte haiñ
hameñ kaise safar karnā hai ye andhe batāte haiñ
Thikāne par pahuñchne kī ḳhushī chehra batātā hai
haqīqat rāstoñ kī paañv ke chhāle batāte hai
ghulī hai shā'irī kī is qadar ḳhushbū fazāoñ meñ
hameñ bārīkiyāñ ġhazloñ kī ab bachche batāte haiñ
tumhārī be-yaqīnī par faqat afsos itnā hai
maiñ jhūTā huuñ tumheñ ye baat bhī jhūTe batāte haiñ
sunā hai qaul par qurbān ho jaate the pahle log
hamāre gaañv ke ham ko baḌe būḌhe batāte haiñ
taraqqī aur ab is se ziyāda kyā 'ratan' hogī
muqaddar aadmī kā āj-kal tote batāte haiñ
jo KHud bimar hain wo log bhi nusKHe batate hain
hamein kaise safar karna hai ye andhe batate hain
Thikane par pahunchne ki KHushi chehra batata hai
haqiqat raston ki panw ke chhaale batate hai
ghuli hai sha'iri ki is qadar KHushbu fazaon mein
hamein barikiyan ghazlon ki ab bachche batate hain
tumhaari be-yaqini par faqat afsos itna hai
main jhuTa hun tumhein ye baat bhi jhuTe batate hain
suna hai qaul par qurban ho jate the pahle log
hamare ganw ke hum ko baDe buDhe batate hain
taraqqi aur ab is se ziyaada kya 'ratan' hogi
muqaddar aadmi ka aaj-kal tote batate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.