jo KHud ko jaan sake wo bashar bashar ho jae
jo ḳhud ko jaan sake vo bashar bashar ho jaa.e
tirī ḳhabar ho usī ko jo be-ḳhabar ho jaa.e
agar tum aao shab-e-hijr muḳhtasar ho jaa.e
ye shām-e-ġham bhī mirī eid kī sahar ho jaa.e
isī ḳhayāl ke pāband ho ke jiite haiñ
tumhārī yaad meñ ye zindagī basar ho jaa.e
har ek zarra meñ mil jaa.e mujh ko ik manzil
jo shauq-e-dīd faqat merā rāhbar ho jaa.e
karūñ jo tark havā-o-havas kā nazārā
jame nazar to haqīqat vo jalva-gar ho jaa.e
kamāl-e-shauq meñ manzil se qurb ho to gayā
mazā to jab hai ki raftār tez-tar ho jaa.e
jahāñ mazār banā tujh pe marne vaale kā
vo kyoñ na ahl-e-mohabbat kī rahguzar ho jaa.e
haTā le dil ko agar 'zabt' ahl-e-duniyā se
barābar us kī nigāhoñ meñ ḳhair-o-shar ho jaa.e
jo KHud ko jaan sake wo bashar bashar ho jae
teri KHabar ho usi ko jo be-KHabar ho jae
agar tum aao shab-e-hijr muKHtasar ho jae
ye sham-e-gham bhi meri eid ki sahar ho jae
isi KHayal ke paband ho ke jite hain
tumhaari yaad mein ye zindagi basar ho jae
har ek zarra mein mil jae mujh ko ek manzil
jo shauq-e-did faqat mera rahbar ho jae
karun jo tark hawa-o-hawas ka nazara
jame nazar to haqiqat wo jalwa-gar ho jae
kamal-e-shauq mein manzil se qurb ho to gaya
maza to jab hai ki raftar tez-tar ho jae
jahan mazar bana tujh pe marne wale ka
wo kyon na ahl-e-mohabbat ki rahguzar ho jae
haTa le dil ko agar 'zabt' ahl-e-duniya se
barabar us ki nigahon mein KHair-o-shar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.