jo KHum par KHum chhalkate hain honTon ki thakan kya samjhenge
jo KHum par KHum chhalkate hain honTon ki thakan kya samjhenge
Mushtaq Naqvi
MORE BYMushtaq Naqvi
jo ḳhum par ḳhum chhalkāte haiñ hoñToñ kī thakan kyā samjheñge
phūloñ meñ guzartī hai jin kī kāñToñ kī chubhan kyā samjheñge
patthar ke pujārī āñkhoñ kī gahrā.ī ko paanā kyā jāneñ
qismat pe yaqīñ rakhne vaale māthe kī shikan kyā samjheñge
ham dīvāne haiñ dīvāne bekār sabaq dete ho hameñ
ham maut ke ma.anī kiyā jāneñ ham dār-o-rasan kyā samjheñge
kyā dukh hai hameñ kyā ġham hai hameñ kyuuñ jaa.eñ kisī se kahne ko
kaliyoñ kī jau izzat kar na sake vo dard-e-chaman kyā samjheñge
kyuuñ nāhaq le kar baiTh ga.e ġham-hā-e-musalsal kā qissa
vo dard kī qīmat kyā jāneñ vo dil kī jalan kyā samjheñge
jo KHum par KHum chhalkate hain honTon ki thakan kya samjhenge
phulon mein guzarti hai jin ki kanTon ki chubhan kya samjhenge
patthar ke pujari aankhon ki gahrai ko pana kya jaanen
qismat pe yaqin rakhne wale mathe ki shikan kya samjhenge
hum diwane hain diwane bekar sabaq dete ho hamein
hum maut ke mani kiya jaanen hum dar-o-rasan kya samjhenge
kya dukh hai hamein kya gham hai hamein kyun jaen kisi se kahne ko
kaliyon ki jau izzat kar na sake wo dard-e-chaman kya samjhenge
kyun nahaq le kar baiTh gae gham-ha-e-musalsal ka qissa
wo dard ki qimat kya jaanen wo dil ki jalan kya samjhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.