jo KHush hua hai charaghon ka sar qalam kar ke
jo ḳhush huā hai charāġhoñ kā sar qalam kar ke
chalā na jaa.e mohabbat ko kal-adam kar ke
use talāsh na.e manzaroñ kī rahtī hai
ujāle laayā hai tārīkiyoñ meñ zam kar ke
havā kī tarah talavvun shi'ār thā to sahī
magar vo shaḳhs gayā faisle raqam kar ke
hamāre ḳhvāb añdheroñ ke yarġhamālī haiñ
sipāh-e-shab ko sar-e-shām be-alam kar ke
anā ke peḌ pe shāyad samar malāl kā ho
zarā sā dekh to luuñ rābte baham kar ke
havā meñ tairte rahte haiñ aur rukte nahīñ
ye kis ne chhoḌ diyā jugnuoñ ko ram kar ke
'kafīl' le ke koī muzhda-e-sahāb aayā
jab aag jā chukī sab āshiyāñ bhasam kar ke
jo KHush hua hai charaghon ka sar qalam kar ke
chala na jae mohabbat ko kal-adam kar ke
use talash nae manzaron ki rahti hai
ujale laya hai tarikiyon mein zam kar ke
hawa ki tarah talawwun shi'ar tha to sahi
magar wo shaKHs gaya faisle raqam kar ke
hamare KHwab andheron ke yarghamali hain
sipah-e-shab ko sar-e-sham be-alam kar ke
ana ke peD pe shayad samar malal ka ho
zara sa dekh to lun rabte baham kar ke
hawa mein tairte rahte hain aur rukte nahin
ye kis ne chhoD diya jugnuon ko ram kar ke
'kafil' le ke koi muzhda-e-sahab aaya
jab aag ja chuki sab aashiyan bhasam kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.