jo KHush-nasib tere ishq mein KHarab hue
jo ḳhush-nasīb tere ishq meñ ḳharāb hue
ba-e-e'tibār-e-haqīqat vo kāmyāb hue
ġham-e-davām ke asrār be-naqāb hue
ye chand jur.e kahāñ tak asar-ma-āb hue
mirī nigāh meñ vo jalve sehr-kār nahīñ
jo jalve aam nigāhoñ meñ be-naqāb hue
chalā maiñ un kā tasavvur kiye hue jis vaqt
jo zarre raah meñ aa.e vo āftāb hue
tirī qarābat unheñ bhī kahāñ mayassar hai
tire jamāl-kade meñ jo bāryāb hue
karishma-sāzī-e-jazbāt-e-ishq are tauba
haqīr zarre tire husn kā javāb hue
idhar banāyā hai qasr-e-tasavvurāt-e-jamīl
udhar ham un ke liye ḳhānumāñ-ḳharāb hue
ye hādsāt-e-mohabbat are ḳhudā kī panāh
tumhārī bazm meñ 'bismil' bhī bāryāb hue
jo KHush-nasib tere ishq mein KHarab hue
ba-e-e'tibar-e-haqiqat wo kaamyab hue
gham-e-dawam ke asrar be-naqab hue
ye chand jure kahan tak asar-ma-ab hue
meri nigah mein wo jalwe sehr-kar nahin
jo jalwe aam nigahon mein be-naqab hue
chala main un ka tasawwur kiye hue jis waqt
jo zarre rah mein aae wo aaftab hue
teri qarabat unhen bhi kahan mayassar hai
tere jamal-kade mein jo baryab hue
karishma-sazi-e-jazbaat-e-ishq are tauba
haqir zarre tere husn ka jawab hue
idhar banaya hai qasr-e-tasawwuraat-e-jamil
udhar hum un ke liye KHanuman-KHarab hue
ye hadsat-e-mohabbat are KHuda ki panah
tumhaari bazm mein 'bismil' bhi baryab hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.