jo KHushi ka payam lai hai
jo ḳhushī kā payām laa.ī hai
vo hamārī shikasta-pā.ī hai
phir nasheman kī ḳhair ho yārab
phir chaman meñ bahār aa.ī hai
muskurātī kalī gulistāñ meñ
bijliyāñ apne saath laa.ī hai
nāḳhudā ne use sañbhālā hai
merī kashtī jo Dagmagā.ī hai
chāñd tāroñ ne muskurāte hue
dāstān-e-alam sunā.ī hai
phir taḌaptā hai dil shab-e-furqat
yād-e-jānāñ tirī duhā.ī hai
'shād' se pūchhte haiñ ahl-e-suḳhan
itnī shohrat kahāñ se paa.ī hai
jo KHushi ka payam lai hai
wo hamari shikasta-pai hai
phir nasheman ki KHair ho yarab
phir chaman mein bahaar aai hai
muskuraati kali gulistan mein
bijliyan apne sath lai hai
naKHuda ne use sanbhaala hai
meri kashti jo Dagmagai hai
chand taron ne muskuraate hue
dastan-e-alam sunai hai
phir taDapta hai dil shab-e-furqat
yaad-e-jaanan teri duhai hai
'shad' se puchhte hain ahl-e-suKHan
itni shohrat kahan se pai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.