jo KHushk jhil ki miTTi se aab mangte hain
jo ḳhushk jhiil kī miTTī se aab māñgte haiñ
vo añdhkār se rañgoñ ke ḳhvāb māñgte haiñ
lahū pilāte haiñ jo log ham ko jīvan-bhar
vo shaam hote hī kyuuñ kar sharāb māñgte haiñ
unheñ ḳhabar hī nahīñ hai ḳhud apne hone kī
jo har savāl se pahle javāb māñgte haiñ
vo qatl karne kī aate haiñ ḳhvāhisheñ le kar
jo māñgte haiñ to taaza gulāb māñgte haiñ
bhulā ke rakhte haiñ jo log sach kī kaḌvāhaT
jo mīThe lafzoñ kī har-dam naqāb māñgte haiñ
hamārī umr bhī lag jaa.e un ko ai maulā
jo dā.eroñ se nikal kar nisāb māñgte haiñ
amal kī raah se ġhāfil haiñ jo vahī 'rāhī'
ḳhudā se apne dukhoñ kā hisāb māñgte haiñ
jo KHushk jhil ki miTTi se aab mangte hain
wo andhkar se rangon ke KHwab mangte hain
lahu pilate hain jo log hum ko jiwan-bhar
wo sham hote hi kyun kar sharab mangte hain
unhen KHabar hi nahin hai KHud apne hone ki
jo har sawal se pahle jawab mangte hain
wo qatl karne ki aate hain KHwahishen le kar
jo mangte hain to taza gulab mangte hain
bhula ke rakhte hain jo log sach ki kaDwahaT
jo miThe lafzon ki har-dam naqab mangte hain
hamari umr bhi lag jae un ko ai maula
jo daeron se nikal kar nisab mangte hain
amal ki rah se ghafil hain jo wahi 'rahi'
KHuda se apne dukhon ka hisab mangte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.