jo kuchh ab hone wala hai jaan nahin sakta koi
jo kuchh ab hone vaalā hai jaan nahīñ saktā koī
jānñe se bhī kyā hāsil jab maan nahīñ saktā koī
sunte haiñ ayyār hai koī bhes badal kar rahtā hai
sāmne aa bhī jaa.e to pahchān nahīñ saktā koī
kahte haiñ in.aam baḌā hai kaam to hai ye karne kā
kaam magar aisā karne kī Thaan nahīñ saktā koī
ab chāhe jis ko mil jaa.e marzī hai us kī lekin
jaise ham ne ḳhaak hai chhānī chhān nahīñ saktā koī
khel chhoḌ kar jaane kā kuchh aur sabab hogā 'ḳhālid'
itnī jaldī haar ye sach hai maan nahīñ saktā koī
jo kuchh ab hone wala hai jaan nahin sakta koi
jaanne se bhi kya hasil jab man nahin sakta koi
sunte hain ayyar hai koi bhes badal kar rahta hai
samne aa bhi jae to pahchan nahin sakta koi
kahte hain inam baDa hai kaam to hai ye karne ka
kaam magar aisa karne ki Than nahin sakta koi
ab chahe jis ko mil jae marzi hai us ki lekin
jaise hum ne KHak hai chhani chhan nahin sakta koi
khel chhoD kar jaane ka kuchh aur sabab hoga 'KHalid'
itni jaldi haar ye sach hai man nahin sakta koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.