jo kuchh apne dil par guzri kuchh na kaho to behtar hai
jo kuchh apne dil par guzrī kuchh na kaho to behtar hai
hañs hañs kar hī 'ārif' us kī baat suno to behtar hai
sun lo dil ke saude meñ ab jhuuT bhī kaam na aa.egā
ūbaḌ-khābaḌ raste par ab saath chalo to behtar hai
mausam badlā bijlī chamkī manzar saarā bhiig gayā
apne apne ghar chalne kī baat karo to behtar hai
shīsh-mahal kā dhokā denā ab itnā āsān nahīñ
TūTī-phūTī kuTiyā meñ ḳhāmosh raho to behtar hai
āḳhir kab tak duur rahoge us kī mīThī bātoñ se
TuuTe rishte phir se joḌo aisā ho to behtar hai
jo kuchh apne dil par guzri kuchh na kaho to behtar hai
hans hans kar hi 'arif' us ki baat suno to behtar hai
sun lo dil ke saude mein ab jhuT bhi kaam na aaega
ubaD-khabaD raste par ab sath chalo to behtar hai
mausam badla bijli chamki manzar sara bhig gaya
apne apne ghar chalne ki baat karo to behtar hai
shish-mahal ka dhoka dena ab itna aasan nahin
TuTi-phuTi kuTiya mein KHamosh raho to behtar hai
aaKHir kab tak dur rahoge us ki miThi baaton se
TuTe rishte phir se joDo aisa ho to behtar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.