jo kuchh bhi ho chuka hai use darguzar karo
jo kuchh bhi ho chuka hai use darguzar karo
Bhagwan Khilnani Saqi
MORE BYBhagwan Khilnani Saqi
jo kuchh bhī ho chukā hai use darguzar karo
baaqī jo zindagī hai ḳhushī se basar karo
zaḳhmī kiyā hai dil to ab zaḳhmī jigar karo
ehsāñ idhar kiyā thā to ab ehsāñ udhar karo
phir is ke baad log suneñge ḳhulūs se
pahle ḳhud apnī shā.erī ko pur-asar karo
uljhī huī hayāt sañvartī hai jab talak
tab tak jahān-e-husn pe thoḌī nazar karo
dil se miTā ke saaqī mire pyaar ke nuqūsh
be-ghar karo na tum mujhe yuuñ dar-ba-dar karo
jo kuchh bhi ho chuka hai use darguzar karo
baqi jo zindagi hai KHushi se basar karo
zaKHmi kiya hai dil to ab zaKHmi jigar karo
ehsan idhar kiya tha to ab ehsan udhar karo
phir is ke baad log sunenge KHulus se
pahle KHud apni shaeri ko pur-asar karo
uljhi hui hayat sanwarti hai jab talak
tab tak jahan-e-husn pe thoDi nazar karo
dil se miTa ke saqi mere pyar ke nuqush
be-ghar karo na tum mujhe yun dar-ba-dar karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.